Tuesday, January 20, 2015

hum khaakzady !

Gumaan ki had se bhi aagy nikaly
ponchy ik khamosh nagri main
sanata ta, shamen roshan na huie to jaana
wo kisi orh rukh py chal diye
jin k liy aye thy hum haden torh kar
ruk gy mere kadam bhi
na murh saky na bhar saky
jami rahien nazren bhi
ansu bhahy ankhen khak huien
wo aye bhi to kaafan hath mai liy
dafan karny ki garaz thi
hum laho b bhahaty larty bhi sahi
par wo ik muskan un k chehre ki
jaan leti ti zakham deti ti
hum ny zakham bhi khaya
jaan bhi di kafan b phena
sou bhi gaye us andheer nagri mai
par aj b ye toota dil liy
apny hi mizaar m ..
ye looh lagay bethy hain
ky ik din woh loat k ayen gy
suna ta..
zameen waly khaak zadon ko
phool charahny aaty hain...

-Qaynat shah

No comments:

Post a Comment