Showing posts with label Urdu. Show all posts
Showing posts with label Urdu. Show all posts

Friday, August 7, 2015

"Me Doob Raha hon..."

"Me Doob Raha hon..."

Khwab hain soony soony, Khyalon py dhond hai chai ho,
Ik nzr bhatak rahi h, ik nzr uljh rahi ho,

Ik ehsas esa keh, koi sath ho mery,
Ik khof esa keh, koi pallu choot raha ho,
Muddaton baad jesy, koi apna rooth raha ho,

Ik anjana sa dar h mjko, 
ik na-ashna si khushi chany wali ho,

Me lakh kron minnat uski, 
mery upr jiska saya ho..

Me bhagon to jakarron, .
me rukon to sakta taari ho..

Mera zahir, mra batin cheekh raha ho,

Me doob raha hon, me doob raha hon…

#Mian

Thursday, November 13, 2014

Rang aur Insan


Rangoon ka bi ajeeb hi khel hai. Kabhi kabhi rangoon ka taluq kisi ek rang sa hota hai, wo ek wahid rang jo rangoon ko motabaar krta hai. Wo ek rang jis ki talash mai sari zindagi guzar jati hai, wo ek rang jo hazaroon rangoon mai bi ho tu door sa nazar usko pehchan layti hai aur kabhi us ek rang ki kami bki rangoon ko berang kar dayti hai. Us ek rang ka hona khushii aur sakoon ki allamat hai aur us k na honay sa hazaroo waswasay zindagi mai aa jaty hai. Yehi haal insan ka bi hai. Usay b rangoon ki tarah motabaar karny k liye ek aisa hi rang chaiye hota hai jo usko munfarid kary, jo us ko mukamal kary jo sirf ushi ki zaat ka mehwaar ho. Us k liye wo ek rang jaisy sari kainat ho jis ko wo lahkoon k hajoom mai bi bina kisi duswaarii k dhoond lay. Aur wo us k rang mai rangta chala jata hai bina yeh sochy k us ka rang uski zaat par aashanaaz ho ga b k nhi. Magar wo us rang k rang mai khud ko fanna kar dayta hai aur wo rang yeh keh kar akhir mai usko chor jata hai k yeh kis rang mai rang gye ho. Rang aur insan kehny ko ek jaisy zarur ho skty hai hai magar haqeeqat mai hai nhi kyu k rang ek dafa char kar uthartha nhi aur na hi usko baad mai koi gilla hota hai jb k insan dosaray insan ko apnay rang mai daal kar usko yeh keh kar chor dayta hai k tm wo rang nhi jo mai chahta tha.

Tuesday, August 12, 2014

Socha Na Tha..!!


sahil ko tumharay asray py chor aye jo

beech samandar dubain gy yeh socha na tha
wo jinhain pal bhar bhi tanhayi gawara na thi
yoon muqaddar bnay ga akalay pan ye socha na tha
khamoshiyon sy jis ki sadiyon ki doori thee unhi
main ab basna chahay gee ye socha na tha
hansi kabhi jis kay chehray ki ronaq thee
palkon main ashq liyay bethay gee socha na tha
yaqeen tha jis ko takmeel e khuwahish ka
wohi is ka khatma mangay gee socha na tha
zindagi kay imtehaan ka suna to tha
is qadar dushwaar ho ga socha na tha

Sunday, August 3, 2014

Hasil Aur Lahasil

Hasil Aur la hasil ka falsafa bohat waseeh hai..Kuch log hasil kar k bhi la hasil rehtay hain! Ghor talab baat yeh hai k aap kya hasil karna chahtay hain.Aur us ko hasil karne k liye aap ki chah kitni hai.Kuch log muhabbat k hasool ki koshish kartay hain magar asal mohabbat khaliq-e-haqeeqi ki muhabbat hai.Dunyawi ishq, ishq-e-haqeeqi tak janay ka ek zeena hai. kuch log dunya k talabgaar hain aur kuch aakhrat k,magar ishq wo jazba hai jo dono jagha insaan ki kamyaabi ka sabab banta hai. Jo log ishq hasil kar letay hain wo dunya main jannat pa letay hain,aur us ko pa kar amar ho jatay hain,lekin jo la-hasil rehtay hain wo aksar apni na-kaami k sabab toot kar bikhar jatay hain aur apnay hawaas kho detay hain. Magar kuch chehray aisay hain jo iss sab sy nikal kar apnay aap ko jortay hain or kamyaabi ki wo manzilain chutay hain jo har kisi ka khawaab hoti hain.Magar iss sab k bawajood ek tammana aur khuwaish un k dil main rehti hai,mukammal honay ki khuwaaish,aur jo apnay rab sy rujoo karta hai,wo poori tarha sab hasil karta hai. Ya'ani yeh k ishq la-hasil reh kar b wo karishmay karne ki quwat rakhta hai jo soch say balatar hain. Dunya ka hasool aarzi hai,sirf rab ki muhabbat la-fani hai.

Monday, July 28, 2014

Suno Phir Eid Ayi Hai

suno phir chaand nikla hai 
suno phir eid ayi hai 
roshni har simt pheli hai
khushi ki naveed ayi hai
magar is dil ki basti main
tou bas tanhayi chayee hai
isay purnoor karnay ko
talab ik mahtab ki hai
iss barg e khizaan ko
talash ik lehr e bahar ki hai
is banjar dayar ko
khuwahish kuch barsaat ki hai
is adhooray wajood ko
zaroorat sirf tumharay sath ki hai
janti hoon tum ko kuch farz nibhanay hain
magar taskeen hai k ab ik waqt ana hai
sitaaron ki gardish jb kuch youn ho gee
kay tm ko sb zanjeeron ko tor a he jaana hai
mukaam e wasal par phir chand niklay ga
saba phir khushiyoon ki lehar laye gee
haqeeqat main wohi to eid ho gee
haqeeqat main wohi to eid ho gee