Sunday, August 3, 2014

Hasil Aur Lahasil

Hasil Aur la hasil ka falsafa bohat waseeh hai..Kuch log hasil kar k bhi la hasil rehtay hain! Ghor talab baat yeh hai k aap kya hasil karna chahtay hain.Aur us ko hasil karne k liye aap ki chah kitni hai.Kuch log muhabbat k hasool ki koshish kartay hain magar asal mohabbat khaliq-e-haqeeqi ki muhabbat hai.Dunyawi ishq, ishq-e-haqeeqi tak janay ka ek zeena hai. kuch log dunya k talabgaar hain aur kuch aakhrat k,magar ishq wo jazba hai jo dono jagha insaan ki kamyaabi ka sabab banta hai. Jo log ishq hasil kar letay hain wo dunya main jannat pa letay hain,aur us ko pa kar amar ho jatay hain,lekin jo la-hasil rehtay hain wo aksar apni na-kaami k sabab toot kar bikhar jatay hain aur apnay hawaas kho detay hain. Magar kuch chehray aisay hain jo iss sab sy nikal kar apnay aap ko jortay hain or kamyaabi ki wo manzilain chutay hain jo har kisi ka khawaab hoti hain.Magar iss sab k bawajood ek tammana aur khuwaish un k dil main rehti hai,mukammal honay ki khuwaaish,aur jo apnay rab sy rujoo karta hai,wo poori tarha sab hasil karta hai. Ya'ani yeh k ishq la-hasil reh kar b wo karishmay karne ki quwat rakhta hai jo soch say balatar hain. Dunya ka hasool aarzi hai,sirf rab ki muhabbat la-fani hai.

No comments:

Post a Comment