Tuesday, August 12, 2014

Socha Na Tha..!!


sahil ko tumharay asray py chor aye jo

beech samandar dubain gy yeh socha na tha
wo jinhain pal bhar bhi tanhayi gawara na thi
yoon muqaddar bnay ga akalay pan ye socha na tha
khamoshiyon sy jis ki sadiyon ki doori thee unhi
main ab basna chahay gee ye socha na tha
hansi kabhi jis kay chehray ki ronaq thee
palkon main ashq liyay bethay gee socha na tha
yaqeen tha jis ko takmeel e khuwahish ka
wohi is ka khatma mangay gee socha na tha
zindagi kay imtehaan ka suna to tha
is qadar dushwaar ho ga socha na tha

No comments:

Post a Comment