Monday, July 28, 2014

Suno Phir Eid Ayi Hai

suno phir chaand nikla hai 
suno phir eid ayi hai 
roshni har simt pheli hai
khushi ki naveed ayi hai
magar is dil ki basti main
tou bas tanhayi chayee hai
isay purnoor karnay ko
talab ik mahtab ki hai
iss barg e khizaan ko
talash ik lehr e bahar ki hai
is banjar dayar ko
khuwahish kuch barsaat ki hai
is adhooray wajood ko
zaroorat sirf tumharay sath ki hai
janti hoon tum ko kuch farz nibhanay hain
magar taskeen hai k ab ik waqt ana hai
sitaaron ki gardish jb kuch youn ho gee
kay tm ko sb zanjeeron ko tor a he jaana hai
mukaam e wasal par phir chand niklay ga
saba phir khushiyoon ki lehar laye gee
haqeeqat main wohi to eid ho gee
haqeeqat main wohi to eid ho gee

No comments:

Post a Comment